Kanz e Aza

chand ko dekhke sughra ne kaha haaye hussain

A noha for Imam Hassan (a.s) (2022). Lyrics in Roman Urdu.

Sughra Ko Muharram Ka Jab Chand Nazar Aaya - 2

Yaad E Shahewala Ne Dil Aur Bhi Tarpaya


Chand Ko Dekh Ke Sughra Ne Kaha Haye Hussain - 3


Aageya Mah E Muharram Haan Nahi Aaye Hussain


Chand Ko Dekh Ke Sughra Ne Kaha Haye Hussain


Yaad Pardais Main Aati Hai Lahad Amma Ki

Ghar Ka Ahwal Sunane Ko Kaha Jaye Hussain


Chand Ko Dekh Ke Sughra Ne Kaha Haye Hussain


Aap Aaye Na Khabar Aayi Na Akbar Na Aaye

Aary Kaisay Is Haal Main Sughra Se Jiya Jaye Hussain


Chand Ko Dekh Ke Sughra Ne Kaha Haye Hussain


Jab Se Ye Chand Muharram Ka Nazar Aaya Hai

Amma Roti Hai Tujeh Aye Mere Maa Jaye Hussain


Chand Ko Dekh Ke Sughra Ne Kaha Haye Hussain


Koi Tasweer To Zahra Ki Rahi Parde Main

Haye Ye To Acha Huwa Sughra Ko Nahi Laye Hussain


Chand Ko Dekh Ke Sughra Ne Kaha Haye Hussain


Naam Par Shah Ne Akbar Ke Kharidi Hai Zameen

Kaisay Jaagir Tujhe Bhai Ki Dikhlaye Hussain


Chand Ko Dekh Ke Sughra Ne Kaha Haye Hussain


Eid Bhi Soog Ke Aalam Main Guzari Uss Ne

Haye Akbar Kabhi Kahti Thi Kabhi Haye Hussain


Chand Ko Dekh Ke Sughra Ne Kaha Haye Hussain


Haye Mustakil Shah Ki Aakho Se The Aansu Jari

Khat E Sughra Ko Mukammil Nahi Parh Paye Hussain


Chand Ko Dekh Ke Sughra Ne Kaha Haye Hussain


Haye Ik Ik Beti Se Rukhsat Huwe Khame Main Magar

Haye Afsos Ke Sughra Se Na Mil Paye Hussain


Chand Ko Dekh Ke Sughra Ne Kaha Haye Hussain


Likh Ke Noha Ye Takallum Ne Dua Magi Hai

Har Azadar Ko Aashur Pe Bulwaye Hussain


Chand Ko Dekh Ke Sughra Ne Kaha Haye Hussain