Kanz e Aza

Jaane Sakina

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by N. Sarwar, J. Jaffri & M. Abdollahi (2022). Lyrics in Roman Urdu.

baba kujaai baba kujaai

kahan ho baba


charagh e zindan khamoshe em shab

ai baba ye khubam kujaai kujaai


baba tum paas nahi chacha abbas nahi

baba tum paas nahi koi bhi aas nahi aas nahi

charagh e zindan khamoshe em shab

ai baba ye khubam kujaai kujaai


baba mai qaid may hoo aap kahan ho baba

laadli beti ko ek baar pukaro baba

paas aao ya mujhe paas bulalo baba

apne daaman may sakina ko chupalo baba

mere baba mujhe do aa ke sahara

ay jaan e sakina kahan ho kahan ho

charagh e zindan...

ai baba ye khubam...


baba tum paas nahi chacha abbas nahi

baba tum paas nahi koi bhi aas nahi aas nahi

charagh e zindan khamoshe em shab

ai baba ye khubam kujaai kujaai


haye sehti hai sitam aap ki beti baba

khoon behta hai mere kaan hai zakhmi baba

cheen kar le gaye kyun baaliyan meri baba

maangte aa ke jo mujhse to mai deti baba

kitna mushkil hai sakina ka guzara

ay jaan e sakina kahan ho kahan ho

charagh e zindan...

ai baba ye khubam...


baba tum paas nahi chacha abbas nahi

baba tum paas nahi koi bhi aas nahi aas nahi

charagh e zindan khamoshe em shab

ai baba ye khubam kujaai kujaai


baba kal khwaab may tum paas mere aaye thay

godh may asghar e masoom ko bhi laaye thay

bhai akbar chacha abbas yahin baithe thay

baari baari galay lipta ke mujhe rote thay

jaane kab dekhungi kunba mai dobara

ay jaan e sakina kahan ho kahan ho

charagh e zindan...

ai baba ye khubam...


baba tum paas nahi chacha abbas nahi

baba tum paas nahi koi bhi aas nahi aas nahi

charagh e zindan khamoshe em shab

ai baba ye khubam kujaai kujaai


ek din baba ka sar bali sakina ko mila

ashk baar aankhon se baba ne sakina se kaha

haye kis haal may tum hum se mili ho beta

ab wo seena hi nahi jis pe sulaaye baba

apna sar rakh de mere sar pe sakina


charagh e zindan khamoshe em shab