aa rahe hai teri jaanib ay zameen e karbala
mashk e nusrat ke liye hai arbaeen e karbala
aa rahe hai teri jaanib ay zameen e karbala
auratein bache hai boodhe aur jawan bhi saath hai
qudsi o jinn o malak kaun o makan bhi saath hai
zaaire karbobala mehdi e jaan bhi saath hai
badh rahe hai shauq se sab shayaqeen e karbala
aa rahe hai teri jaanib...
rauza e hyder se hoti hai wafa ki ibteda
maujiza jisko hai samjha ye hai zahra ki dua
hai karoron ka juloos aur saath hai farshe aza
ab najaf tak bich gayi hai sar zameen e karbala
aa rahe hai teri jaanib...
is ziyarat ke safar mein saahib e kirdaar hai
parcham e abbas haathon mein hai sab bedaar hai
ay imam e asr nusrat ke liye tayyar hai
muntaqim ke muntazir hai momineen e karbala
aa rahe hai teri jaanib...
lashkar e mehdi ka rob o dabdaba ye manzilat
ye najaf se karbala tak ka safar hai maarifat
marg bar taghoot hai ye marg bar sufyaniat
nusrat e mehdi karo zer e nageen e karbala
aa rahe hai teri jaanib...
khaana e kaaba ki deewaron se utha shor o shain
aasman ko dekhta hai fatema ka noor e ain
hajj ko umre mein badal kar chal diye maula hussain
aazmeen e hajj huwe hai aazmeen e karbala
aa rahe hai teri jaanib...
parda e ghaibat uthega mere maula aayenge
gar bulasya aap ne paidal bhi chal kar jayenge
saath mein maa baap bache aur bhai laayenge
kar qabool in zehmaton ko ay makeen e karbala
aa rahe hai teri jaanib...
ek majlis hogi rauzon par pahonch kar aur bain
ek taraf abbas honge ek taraf maula hussain
kaisa girya hoga kya zaakir ki hogi zeb o zain
ek jagah honge bahattar saamaeen e karbala
aa rahe hai teri jaanib...
chauda farsakh tak hamein khaana khilata kaun hai
zaair e shabbir ko pani pilaata kaun hai
saaf joote kar ke ye aansu bahata kaun hai
allah allah dekho shaan e zaireen e karbala
aa rahe hai teri jaanib...
ho sharaf haasil ziyarat ka qamar maango dua
shadman har ek qadam par bas yehi hai sochta
rauza e abbas dekhunga to haalat hogi kya
saamne jab aayegi mere zameen e karbala
aa rahe hai teri jaanib...