Kanz e Aza

Rahe Salamat Ta Qayamat

A noha (2012). Lyrics in Roman Urdu.

Rahe Salamat Ta Qayamat


hussain maula hussain

sina pe bol raha hai

hussain ibne ali

lahu me apne naha kar

hazaar sadme utha kar

yazidiyat ko mita kar

khuda ke deen ka parcham baland maine kiya

kisi yazeed me taaqat kahaan jhukaaye mujhe

safar ba noke sina par pasand maine kiya

sune ye saara zamaana hussain ki aawaaz

ash’hado an la elaha illalla

ash’hado anna mohammad ur rasulallah

ash’hado anna aliyun valiullah

qubul is liye neze ki nok ki maine

mera kata huwa sar dushmanon se past na ho

mein sar uthaaye huwe dushmanon se kehta hun

hussain hota wahi hai jise shikast na ho

mere azaadaaro ay mere ghamkhaaro

tumhaare azm ko mera salaam

maula hussain sarkaar farmaate hain

ye mera ishq hai jo lahu banke tumhaari ragon me daur raha hai


rahe salaamat ta qayaamat


rahe salaamat ishqe hussaini


range wafa dikhlaata hai


warna kaun kisi ki khaatir

apna khun bahaata hai


rahe salaamat ta qayaamat


rahe salamat ishqe hussaini


range wafa dikhlaata hai


ye kaale kapre jo zebe tan hain

ishqe hussaini ki hai daleel

jhule amaari taaziyadaari

sina zani paani ki sabil


ehle aza ko ye tehzeebe

ishqe hussain sikhaata hai

ye chote bachche aur shab bedaari

yun to bara mushkil hai safar


socho agar tum ahle zamana

ishqe hussaini ka hai asar

ishqe hussain hi in bachchon ko

farshe aza tak laata hai


dekho zara tum kaabe me jaakar

sirf musalmaan honge wahaan

farshe aza wo waahid jagah hai

apne paraaye sab hai jahaan


aata wahi hai farshe aza par

jisko hussain bulaata hai

wo jo bina-e farshe aza hai

ham hain usi bibi ki duaayen


ishqe hussaini tha uske dil me aur ham ko virse me mila

jisko mila virse me ye maatam

ahle aza kehlaata hai

ishqe hussaini dil me basaa kar


zinda rakhi ghazi ne wafa

jis ne wafa ko zinda rakha hai

baali sakina ka hai chacha

usko dua deti hai sakina


jo bhi alam ko uthaata hai

ishqe hussaini se hain namazein

ishqe hussaini farshe aza

ishqe hussaini sholon pe chalne


sina zani zanjeer o kama

ishqe hussaini ki taaqat se

maatami khun me nahaata hai

suno mazhar o irfan


ay azaadaaraane man

yehi wo shohada-e karbala hain

jinhon ne halmin ki sada par labbaik kaha

aur mere iskq me apni jaanon ka nazraana pesh kiya


_∆__

Muslim bin awsaja, Anas bin haaris, Burair hamdaani, Hanzala bin asad, Abdur rahman ghaffari, Saif bin haris

__æ_

Hur, habeeb, john, abusamaama, umro bin ansaari, shojab bin abdullah, aabis ibne shabeeb, abdullah ghaffari, wahabe kalbi, abu shahaasa, shabeeb bin abdullah, ammar ibne hassan


_∆__

Junada bin kaab, junada bin haris, saeed ibne haris, zohair ibne qain, saif bin malik, nomaan ibne umar, naafi ibne hilaal, salman ibne mazarib

__æ_

Ali bin hur, musab reyaai, sawaar ibne umair, umar bin jundab, zarghaama bin malik aslam ghulaame turki, imraan bin kaab, qarib bin abdullah, muslim bine kasir, naeem ibne ajlaan, abdullah bin sabir, umar bin qalid


_∆__

Saeed ibne abdullah, jaffer ibne hajjaj, bakar ibne haai, hajjaj bin masrook, abdullah bin muslim, mohammed bin muslim, jaffer ibne aqeel, abdur rehman ibne aqeel

__æ_

Habsha bin qais, zaahid bin umro, sawair ibne umro, nasar bin abi naizar, abdullah bin umair, umro bin ansaari, habeeb bin amir, habaab bin haris, haris ibne binhan, jundab ibne hajeer, ammar ibne abi salaama, munjaib bin saheem


_∆__

Mohammed bin saeed, mohd bin abdullah, aun bin abdullah, qasim ibne hassan, mohd bin hassan, mohd bin ali, abdullah bin ali, imraan ibne ali, jaffer ibne ali, abdullah bin hassan, abbas ibne ali, ali asghar, ali akbar, moula hussain - 3