Kanz e Aza

sabir banda

A noha (2012). Lyrics in Roman Urdu.

sabir banda

sajjad haay sajjad

ek nauha khwaan tasawwur me

jab shaam ki galiyon me pahoncha haaye

hamraah asiron ke us ne

ek laagar kaidi ko dekha

jo tauq o salaasil me jakra

kaanton par chal kar aaya hai

kuch nezo par quran numa

sar apne saath me laaya hai


allah jaane kaisa saabir banda hai

ye kaisa saabir banda hai


maa behnon phuphiyon ko lekar

ek qaidi shaam me aaya hai

jakra hai masaayeb ne is ko

zanjeer ba zaahir pehne hain


ye sar to jhuka hai ghairat se kyun tauq musaafir pehne hain

lagta hai masaayeb ka ye khuda

insaan ke bhes me aaya hai

atfaal bhi qaidi hain saare aur saath haya ki shahzaadi


khaamosh zabaan hai qaidi ki par zakhm huwe hain faryaadi

kuch karta nahi faryaad o buka

aankhon se khun bahaata hai

beghar hai musaafir hai lekin


na sina zani na nauhagari

jo shakhs bhala khamosh rahe

kaanton pe musaafat ho jis ke

hai dhup masaaayeb ki sar par phir bhi qaidi be saaya hai


aata hai nazar jo neze par

hai is qaidi ke baap ka sar

wo sar bhi sina par rota hai

kya dard bhala hai ye manzar


ye wo saabir hai jis ke liye

quraan tilaawat karta hai

maa behn phuphi hain bechaadar

ye zakhm jigar par hain gehre


insaan me kaha taaqat itni

ye zakhm sahe aur zinda rahe

zanjeer lipat kar kadmon se aur tauq gale ka kehta hai

har gaam baraste hain patthar aur us pe tamaashaayi dunya


yun sar ko jhuka kar chalta hai

jaise ho koyi zinda lasha

kya koyi bashar is duniya me

khud apni laash uthaata hai


ek phul si naazuk bacchi hai

us par bhi jafa hai durron ki

jab haay chacha wo kehti hai

sar peet ke rote hain qaidi


khud rota nahi rone waale

har qaidi ko samjhaata hai

bacchi ko tamaache lagte hain

ye zakhm jigar par khaata hai


uthti hain nigaahen zainab par

ye khun ke aansu rota hai

khud pyaasa hai par khun dekar

durron ki pyaas bujhaata hai


irfan aur mazhar kya ho bayaan

sajjad ki ghurbat ka aalam

qirtaas o qalam khun rote hain

alfaaz bhi karte hain maatam


ye nauha qayaamat hai lekin

rona is baat pe aata hai


allah jaane kaisa saabir banda hai

ye kaisa saabir banda hai


maa behno phuphiyon ko lekar

ek kaidi shaam me aaya hai


allah jaane kaisa saabir banda hai