Kanz e Aza

Mere Hussain Ko Rote

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Kaleem. Lyrics in Roman Urdu.

mere hussain ko rote raho dua dungi

har ek chaahne waale ko bakhswa dungi


shaheed e kushtae jor o jafa pe rote hai

jo mere laal ko farshe aza pe rote hai

mai ek roz unhe karbala dikha dungi

mere hussain ko...


dilon ka dard labe ilteja pe rakh dena

tamam haajatein farshe aza pe rakh dena

har ek daaman e umeed ko saja dungi

mere hussain ko...


in aansuon ke waseele se tum ko chain milay

na koi ranj siwa e ghame hussain milay

ba fazle rab tumhe is khair ki jaza dungi

mere hussain ko...


na ro saki jisay jee bhar ke zainab e dilgeer

sada buland rahe shor e matam e shabbir

mai in sadaon mein apni sada mila dungi

mere hussain ko...


tumhare ashk bahot motabar hai mere liye

yehi to marhame zakhme jigar hai mere liye

rasool ko inhi ashkon ka waasta dungi

mere hussain ko...


gulu e khusk pe khanjar pe maine dekha hai

wahin pe laasha e besar bhi maine dekha hai

batao kaise mai karbobala bhula dungi

mere hussain ko...


kaleem tohfa e gham haq ki pursadari hai

jo qaum aaj bhi masroof e aah o zaari hai

usay mai saaya e rehmat mein aasra dungi

mere hussain ko...