Kanz e Aza

Qasim Qasim ka

A noha for Shahzade Qasim (a.s), written by Ishrat Lakhnavi. Lyrics in Roman Urdu.

qasim qasim ka nauha hai ghar may qayamat hai

umme farwa ka girya hai ghar may qayamat hai


bewa apne sar ko jhukaye baithi hai khamosh

saamne naushah ka laasha hai ghar may qayamat hai

qasim qasim ka nauha hai...


phool khushi ke aise khile do pal may murjhaye

jangal ki ye kaisi hawa hai ghar may qayamat hai

qasim qasim ka nauha hai...


tera baras waale ki ghar may mayyat aayi hai

zakhm abhi taaza taaza hai ghar may qayamat hai

qasim qasim ka nauha hai...


koi zaban khole to kaise sab hai sakte may

chup jo hassan ka shehzada hai ghar may qayamat hai

qasim qasim ka nauha hai...


jis ke haathon ke mehendi par khoon hua ghalib

uska janaza rakha hua hai ghar may qayamat hai

qasim qasim ka nauha hai...


jis masnad par aqd ka sehra baand ke baitha tha

us masnad par ab laasha hai ghar may qayamat hai

qasim qasim ka nauha hai...


aansu poch liye ye keh kar fatema kubra ne

dard ko seh lena hi dawa hai ghar may qayamat hai

qasim qasim ka nauha hai...


aisi shaadi is dunya may dekhi hai kisne

khaak ke bistar par dulha hai ghar may qayamat hai

qasim qasim ka nauha hai...


ghodon se pamaal kiya hai jis ke laashe ko

ishrat ye uska nauha hai ghar may qayamat hai

qasim qasim ka nauha hai...