Kanz e Aza

QATL HO GAYE QASIM YA ALI DUHAAI HAI

A noha for Qasim (a.s), written by Ali Rafi and recited by Anjuman e Parwana e Shabbir. Lyrics in Roman Urdu.

Hai lahu bhara Chehra kaisi runumaai hai

Dekhne ko ye manzar ab Dulhan bhi Aayi hai

Ek din ki thi Shaadi hashr tak judaai hai

Karbala ke Dulha ki Laash ghar meAayi hai


Qatl hogaye Qasim Ya Ali duhaai hai


Do jaha'n na kyun rowe ye Ali ka Pota hai

Bekasi pa Qasim ki dil shikista hota hai

Ye zameen Rothi hai aasma'n bhi rota hai

Ab kisi ko sakta hai koi jaan khota hai


Qatl ho gaye Qasim Ya Ali duhaai hai


Kis liye tadapte hain kisko jaa ke samjhaaein

Kya guzarti hai Ham par Woto bas Khuda Jaane

Qalb bhi Hamare hain Shaah ke Azakhaane

Hain azaaye Qasim me aasuon ke nazraane


Qatl ho gaye Qasim Ya Ali duhaai hai


Aaj Karbala waale phir hamare mehma hain

Phool ho'n ke mehndi ho sab Aza ke saama'n hain

Ehtemaam shaadi ke ek Bahan ke armaa'n hain

Ghamzado'n ke nazraane aansuon ke toofaa'n hain


Qatl ho gaye Qasim Ya Ali duhaai hai


Ye Sadaa-e Maatam hai ek payaame bedaari

Is liye rago'n me hai khoone zindagi jaari

Zindagi Hamari hai Shaah ki Azadaari

Khud shareeke Majlis hai ek Ghareeb Dukhiyaari


Qatl ho gaye Qasim Ya Ali duhaai hai


Ran se Laasha-eNaoshah laay jis ghadi Sarwar

Zindagi ka har lamha phir to ban gaya nashtar

Har qadam qayamat thi har qadam pa tha mehshar

Reh gaya nigaho'n me ye lahu bhara manzar


Qatl ho gaye Qasim Ya Ali duhaai hai


Bain the ye Kubra ke ab to ghut raha hai dam

Bolte nahi'n kuch bhi aaj Mere Ibne amm

Kis tarah se dikhlaaein apne dil ka ye aalam

Boliye PhupiAmma chup rahein ke roe'nham


Qatl ho gaye Qasim Ya Ali duhaai hai


Misle Fatima Kubra kaunsi Dulhan hogi

Sar to berida hoga haath me rasan hogi

Laash jiske waaris ki ran me bekafan hogi

Aye Rafi is Ghamme qaom seenazan hogi


Qatl ho gaye Qasim Ya Ali duhaai hai