Kanz e Aza

Qafila Sadaat Ka

A noha for Darbaar e Shaam (2013). Lyrics in Roman Urdu.

Qafila Sadaat Ka


haye sajjad x6

jaa raha hai karbala se qafela sadaat ka


sajjad haye sajjad


kal talak salaar is tha alamdar-e-jari x2

aaj hai salaar iska bediyo wala ali


haye sajjad haye sajjad x2

qafela sadaat ka hai x4


jab madine se chal tha qafela sadaat ka

misle haider pasbaa abbas tha sadaat ka

kaisi gurbat ek din me bibiyon par cha gayi

ek abid na tava hai aasra sadaat ka


haye sajjad haye sajjad x2

qafela sadaat ka hai x4


kal talak abbas ki thi har kadam par yeh sada

aye parindo muh chupalo hai safar me sayyada

aaj yeh salaar hai aur shamiyo ki bheed hai

maangta hai har kadam par haye zainab ki rida


haye sajjad haye sajjad x2

qafela sadaat ka hai x4


qafela ek woh tha mehmil me thi sab saidaniyan

qafela ek yeh hai paidal chal rahi hai bibiyan

qafla salaar ki gurbat ka alam dekh kar

bain karti jaa rahi hai har kadam par bediya


haye sajjad haye sajjad x2

qafela sadaat ka hai x4


har ghadi sabir rahe hai dono mire karwaa

karbala tha ek ka maidan shaam ek ka imtehaa

aaj hai rehwar ki gardan me sar abbas ka

abid-e-bimar ki gardan me tauk e gira


haye sajjad haye sajjad x2

qafela sadaat ka hai x4


shor karte hai sitamgar taaziyane maar ke

muntazir kurshi nashi hai itrate athar ke

qatl gairat ho rahi hai har gali har mod par

inna lillah hai labo par abid e bimar ke


haye sajjad haye sajjad x2

qafela sadaat ka hai x4


hai qamar kham aur haatho me asa thame hue

kis tarha pehchaane aakhir fatema sughra ise

aagaya yawar madine me mera maula magar

laut kar aayi na abid ki jawani shaam se


haye sajjad haye sajjad x2

qafela sadaat ka hai x4