Kanz e Aza

Magar Bas Hai Khayal

A noha written by Hasan Imdad. Lyrics in Roman Urdu.

dabe jab hum na aglon se to inki kya haqeeqat hai

magar bas hai khayal iska ke ye nana ki ummat hai


ba-hamdolillah apne baazuon mein haq ki quwwat hai

garan saqlain se laraib apni ek zarbat hai

bashar kya shay hai mafooq ul bashar apni shuja’at hai

par e jibreel se poocho ke hum mein kitni taaqat hai

hamare saamne sab hech ye faujon ki kasrat hai

magar bas hai khayal...

dabe jab hum na...


arab ke soormao’n ne muqabil aa ke dekha hai

sar e maidan shola taygh ka bhadka ke dekha hai

na bigda kuch to phir teeron ka mee barsa ke dekha hai

musalsal badr se siffeen tak takra ke dekha hai

dabe jab hum na...

magar bas hai khayal...


jo khaynchun taygh paidal jaa ke aswaron sa takrayein

ke shole kufr ke dozagh ke angaaron se takrayein

ye baatil ki chatanein jaa ke kohsaro se takrayein

ye buzdil bhaag kar kufe ki deewaron se takrayein

ba-hamdolillah mujh tanha ke andar itni taaqat hai

magar bas hai khayal...

dabe jab hum na...


jawanan e bani hashim to hai shab hi se aamada

namaz e subha se tayghein dhare hai zer e sajjada

wo dekho wo hassan ka laal wo akbar sa shahzada

alam ke zer e saaya sab se pehli saf mein istaada

mere sheron ko koi tok de ye kis mein himmat hai

magar bas hai khayal...

dabe jab hum na...


faqat akbar mera nau laakh ke lashkar ko kaafi hai

ye tesha hi faqat har sang har patthar ko kaafi hai

ye peeri ka asa har saanp har ajdar ko kaafi hai

ali ki taygh hai saare zamane bhar ko kaafi hai

faqat keh doon ke haan jaan e pidar jao ijazat hai

magar bas hai khayal...

dabe jab hum na...


ye dekhenge ke pyase teen din ke kaise ladte hai

bahattar jin ko hum laaye hai unke kaise ladte hai

badon ka zikr kya sin kam hai jin ke kaise ladte hai

ye tez o tund toofano se tinke kaise ladte hai

ye samjhe hai ke bas moqoof pani par shuja’at hai

magar bas hai khayal...

dabe jab hum na...


ye samjhe hai mere mauqaf se mujhko door kar lenge

ba-zor e taygh bayyat par mujhe majboor kar lenge

hata kar shamma parwano se kasbe noor kar lenge

sawaad e sham se haasil charagh e toor kar lenge

hamay bhi dekhna hai aaj in mein kitni taaqat hai

magar bas hai khayal...

dabe jab hum na...