Kanz e Aza

Mera Mehdi Jab Ayega

A noha for Imam Mohd Baqar (a.s) (2010). Lyrics in Roman Urdu.

Mera Mehdi Jab Ayega

Mera Mehdi jab ayega....x2


Bismillah hir rahman nir rahim

Allahumma kulle waliyekal hujjatibnil Hasan salawatoka alaihe wa ala abaehi fee hazehis sa'ate wa fee kulle sa'ah waliyan wa hafezan wa qaedan wa naseran wa daleelan wa ayna hatta tuskenahu arzaka tau'a wa tomatte ahu fiha taweela

Kaha Zahra ne turbat me mujhe tab chain aayega


Mera Mehdi jab ayega...x2

Baqayya ko woh Zainab ka azakhana banayega

Mera Mehdi jab ayega...x2

Baqayya ko woh Zainab ka azakhana banayega

Mera Mehdi jab ayega....x2


Kaha Zahra ne turbat me mujhe tab chain ayega


Mera Mehdi jab ayega...x2


Na dil ko rone dete the na sab ko rone dete the

Kiya mehrood baitul huzn ummat ne rone pe

Woh sehre huzn aate hi Madinay ko banayega


Mera Mehdi jab ayega...x2

Kaha Zahra....Mera Mehdi jab ayega....x2


Yaha Ummul Baneen ke saath soti hain meri madar

Hain jalti dhup me  madfan mera Baqar mera Jafar

Woh fir mismar qabron ke liye saya banayega


Mera Mehdi jab ayega.....x2

Kaha Zahra...... Mera Mehdi.....x2


Tadap jata hain Mehdi jab use awaz ati hain

Woh bacchi aaj bhi Abbas ko rokar bulati hain

Sakina jab se pyasi hain use pani pilayega


Mera Mehdi jab ayega....x2

Kaha Zahra .... Mera Mehdi ....x2


Rida e Zainab o Kulsum ke gam me woh roya hain

Woh thakkar Shaam se aakar mere pehlu me soya hain

0 Sajjad ke ashkon ka woh badla chukayega


Mera Mehdi jab ayega.....x2

Kaha Zahra.... Mera Mehdi.....x2


Adhuri reh gayi duniya me jo tasweer Haider ki

Na usne maa kaha mujhko na khud maine ziyarat ki

Yaqeen hain meri mamta ko woh Mohsin ban ke ayega


Mera Mehdi jab ayega....x2

Kaha Zahra..... Mera Mehdi.....x2


Dukhi hoon apni turbat me yeh kaisa daur hazir hain

Azadari ka munkir hain koi sajde ka munkir hain

Takallum tere Haider ki guroonon par chalayega


Mera Mehdi jab ayega....x2

Kaha Zahra..... Mera Mehdi.....x2