Kanz e Aza

Na puchiye ke kya husain hai

A manqabat for Imam Hussain (a.s), written by Ustad Pyare Khan (2010). Lyrics in Roman Urdu.

Na puchiye ke kya husain hai

Kya Hussain Hai!


Na poochiye keh kya Hussain hai Khuda ke deen ka nakhuda, Her ibtida ki ibtida

Karam ki intiha Hussain hai


Kya Hussain Hai!

Na poochiye keh kya Hussain hai


Karey joi koi humsari, kisi ki kya majaal hai

Jahan mein her lehaz se, Hussain bey misaal hai


Yeh hochuka hai faisla na koi doosra khuda na koi doosra Hussain hai

Kya Hussain Hai!


Na poochiye keh kya Hussain ha

Naseer e sham per nigah, ki to Hur bana diya


jo mer rahey they un ko zindigi ka gur sikha diya

thi her taraf jahan sada khula yeh raaz bhi wahan


hayat baantta Hussain hai

Kero gey ker mukhalifat, gham e Hussain ki yahan


woh hashr hoga hashr mein, keh Al Hafeez o Al Amaan

Jahan bhi chupney jao gay, Kaheen bhi chup na pao gey, keh her jagha mera Hussain hai


Kya Hussain Hai! Na poochiye keh kya Hussain hai

Hai jis ki fikr Karbala, Hussain woh doimagh hai


yeh panjetan ki anjuman, ka paanchwan chiraagh hai

Hasan ka pehla humsafar Ali ka doosra pisar


Imam teesra Hussain hai

Kya Hussain Hai!


Na poochiye keh kya Hussain hai

Woh jis ne baandh ker hawa, jala diya bujha diya


zameen ko jis ne arsh se, buland martaba diya

woh jisne kayenaat ka nizaam hi badal diya


ek aisa maojaza Hussain hai

Kya Hussain Hai!


Na poochiye keh kya Hussain hai

Kisi ko hosla diya, kisi ko baaksh di seher


diye kisi ko baal o per, kisi ko de diye piser

pukaari banda perwari, lughat mein ehl e ishq ki, madad ka tarjumaan Hussain hai


Kya Hussain Hai!

Na poochiye keh kya Hussain hai


Shaheed e karbala ka gham, jisey bhi nagawaar hai

Woh bad-amal hai bad-nasab, usi pe beyshumaar hai


Arey o dushman e aza, tu mer zara, lehed mein ja, pata chaley ga kya Hussain hai

Kya Hussain Hai!


Na poochiye keh kya Hussain hai