Kanz e Aza

Karbala Mera Watan

A noha. Lyrics in Roman Urdu.

salaam karbala


khuda ne kun jo kaha to kayenat bani

jo din to khalq kiya to din se raat bani

ye chand taare ye suraj ye do jahan bane

zameen bichayi gayi saaton aasman bane

bashar banaye gaye khaak se ba hukme khuda

inhi bashar mein huwe khalq khaas ahle aza

janabe fatema zehra ki ye dua se bane

karam hussain ka tha khaake karbala se bane

phir us khuda ne har ek ka chaman qaraar diya

har ek zameen ko kisi ka watan qaraar diya

to karbala ko hamara watan qaraar diya


poocha jahan ne jab naam o pata

har matami ka yehi tha sukhan

karbala karbala mera watan


rab ne hi kaun o makan ko sajaya

us ne hi dono jahan ko basaya

hum ko hai nisbat karbobala se

hum ko isi mitti se banaya

saari daleelein paas hai jab

phir mujhko kehne mein kya uljhan

karbala karbala mera watan...


karbobala pehchaan hai meri

karbobala se hi shaan hai meri

karbobala meri rooh ke andar

karbobala mein hi jaan hai meri

mere watan ke misaal nahi

nazaan hai is par sharq e kohan

karbala karbala mera watan...


mera watan hai zameen auliya ki

mera watan hai zameen ausiya ki

ye bhi to faqr hai mere watan ka

mera watan hai zameen ambiya ki

deen o shariyat ki hai amaan

deene khuda ka yehi hai chaman

karbala karbala mera watan...


mere watan ka ajab maujiza hai

khaak bhi iski khaak e shifa hai

ye darsagaah e sabr o raza hai

is ki hawa mein khushboo e wafa hai

sabr o raza ka wafa ka yehi

roze ajal se raha maskan

karbala karbala mera watan...


zehra ke bete se pehle jo pahuncha

pesh e mohamed sar ko jhukaya

khuld e bari ki sanad tujhe de di

hurr se mohamed ne farmeina

hurr ne kaha mai rahunga wahin

ay mera aaqa rasool e zaman

karbala karbala mera watan...


karbobala hi naseeb hai mera

karbobala mein habeeb hai mera

karbobala mere gham ki dawa hai

karbobala mein tabeeb hai mera

chaahe kahin pe bhi aaye khaza

karbobala mein ho mera madfan

karbala karbala mera watan...


haa ye zameen badi moatabar hai

chaand sitaron ki raah guzar hai

husn yahin se hai shams o qamar ka

sajdagaah e dil shams o qamar hai

hai kehkashano ka naaz yehi

khuld e bari ka yehi hai sahan

karbala karbala mera watan...


haan ye zameen hai dil zainab ka

is pe kiya sajjad ne sajda

yehi zameen hai rasool ki masnad

hai ye zameen zehra ka musalla

jee nahi lagta aur kahin

bole ali se imame hassan

karbala karbala mera watan...


khaak yahin ki rida e haram hai

qalb e sakina ka marham hai

laasha e asghar is ne chupaya

seene mein iske sabhi ka gham hai

bhai mera sota hai yahan

kehti thi ro ke ghareeb behan

karbala karbala mera watan...


seene mein is ke hai laashe bahattar

hai ye zameen gehwara e asghar

chod ke qabr yahin rehti hai

mehwe buka shabbir ki maadar

khoone shaheedan ki hai ameen

saare shaheeedon ka hai kafan

karbala karbala mera watan...


karbobala se hai izzat o shohrat

karbobala se hai meri fasahath

ahle aza ke dilon ki sada hai

karbobala hi hamari hai jannat

hai mera ishq yehi safdar

is pe fida mera tan mann dhan

karbala karbala mera watan...