Kanz e Aza

Jhuka Jaata Hai Ab

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Ghayour. Lyrics in Roman Urdu.

jhuka jaata hai ab jism e figaar aahista

zameen par aa raha hai ek sawaar aahista aahista


khuda jaane usay kis ke nikal aane ka hai dhadka

ke mud kar dekhte hai baar baar aahista aahista

jhuka jaata hai ab...


sinaan o teer ne upar hi roka jism e zakhmi ko

idhar se ab udhar hote hai paar aahista aahista

jhuka jaata hai ab...


tadapne ki bhi gunjaish na rakhi teer o paika ne

bas apni jaan phadakta jism e zaar aahista aahista

jhuka jaata hai ab...


hai aisa zauf jaane natawan aayi hai honton par

magar jaari hai shukre kirdegaar aahista aahista

jhuka jaata hai ab...


jo sar patka to reti par nashan kuch ban gaye reh kar

jo ragdi aediyan utha ghubaar aahista aahista

jhuka jaata hai ab...


ghayour aahista aahista to ye sab kuch hua ab tak

magar chalti nahi khanjar ki dhaar aahista aahista

jhuka jaata hai ab...