arab ke jangal se jaa raha hai
luta hua khaafela kisi ka
bataati hai saaf ye udaasi
ke saaf ghar ho gaya kis ka
seena se zakhmi hai pusht o pehlu
jhuki hai gardan rawan hai aansu
bandhe huwe hai kisi ke baazu
kasa hua hai gala kisi ka
arab ke jangal se...
tumhi batao siya kaaron
tumhi batao sitam shiyaron
ye cheh mahine ki jaan yaaro
bhala bigadega kya kisi ka
arab ke jangal se...
ye dar paye jor hai zamana
ruka qadam mil gaya bahana
wo aayi awaaz e taziyana
wo jism shaq hogaya kisi ka
arab ke jangal se...
baland naizon pa chand sar hai
sitare hai shams hai qamar hai
kisi ke gaysu lahoo may tar hai
to pyaas se moo khula kisi ka
arab ke jangal se...
sawaar shehzadiyan hai saari
na hai kajawa na hai amaari
hai zouf se ghash kisi pe taari
to moo hai utra hua kisi ka
arab ke jangal se...
ghayur bad kar zara khabar le
ye kaun bharti hai sard aahein
yaqeenan in kushtagane gham may
jawan beta bhi tha kisi ka
arab ke jangal se...