Kanz e Aza

Ruk Jao Ay Sakina

A noha for Shehzadi Sakina (s.a). Lyrics in Roman Urdu.

tumse bichad ke maa mushkil bahot hai jeena

maa ko bhi saath lelo rukh jao ay sakina


har simt hai andhera har raah pur qatar hai

dushman hai chaar jaanib dil mein chupaye keena

ruk jao ay sakina…


kha kha ke tum tamache ghabra gayi ho shayad

aa shaam seekh jao bhi aansuon ko peena

ruk jao ay sakina…


aajao mai suladun sar zaanuon pe rakh kar

zakhmi bahot hai bibi tere pidar ka seena

ruk jaao ay sakina…


ammu ko jaane maadar is tarha mat sada do

abbas ki jabeen par aajayega pasina

ruk jaao ay sakina…


rukh par lahoo jama hai kano se khoon hai jaari

beta tadap uthega jaane shaahe madina

ruk jaao ay sakina…


hai qaide shaam ki ab tanhaiyan muqaddar

bibi naseeb mein ab tere nahi madina

ruk jaao ay sakina…


ye bekasi ye ghurbat ye dasht nainawa ka

dooba kahan hai aa kar taqdeer ka safeena

ruk jaao ay sakina…