Kanz e Aza

Ghar Ko Chhoda Shah Nay Jungal Basaney Kay Liye

A salaam for Safar e Imam Hussain. Lyrics in Roman Urdu.

Ghar ko chhoda shah nay jungal basaney kay liye

Karbala mein aaye thay jannath may jaaney kay liye


Zohr ko Zainab se jab milnay gaye ghar mein Hussain

Koyi devdi par na tha parda utha nay kay liye


Sheh utthey pad kar namaaz-e-subha mehshar ho gaya

Hazrat-e-Zainab chaleen kapday pehnaaney kay liye


Kahti thi maa qhat meray Akbar ko tha paighaam-e-marg

Yeh jawaani aayi thi goya bulaaney kay liye


Thi sada zehra ki Zainab margaya tera Hussain

Ghar may ja beti safay matam bichaaney kay liye


Aey taashuq waa-ey hasrat kuch nahin zaad-e-safar

Haath khaali baithe ho duniya se jaane ke liye