Kanz e Aza

Guzar Gaye Thay

A salaam written by Mir Anees. Lyrics in Roman Urdu.

guzar gaye thay kayi din ke ghar may aab na tha

magar hussain se saabir ko izteraab na tha


agar bahisht may hote na kausar o tasneem

to rone waalon ki aankhon ka phir jawab na tha

guzar gaye thay...


faqad hussain ke bachon par band tha pani

bahot khareeb thi wo nehr qehte aab na tha

guzar gaye thay...


wo log jamma thay qatl e hussain par ke jinhe

khuda se khuaf mohamed se kuch hijaab na tha

guzar gaye thay...


ghazab ki jaa hai ke darbar may sitamgar ke

khadi thi binte ali aur kuch hijaab na tha

guzar gaye thay...


hussain aur talab e aab ain maazallah

tamaam karna thi hujjat sawaale aab na tha

guzar gaye thay...