salaami chashm hai rone ko dil buka ke liye
zuban hai wakf shehenshah e karbala ke liye
kaha ye fatema zehra ne aa ke laashe sarwar par
bana tha tu kya laal dashte karbala ke liye
salaami chashm hai...
kabhi to dosh e payambar tha teri sawari ko
hai aaj sar ye tera naiza e jafa ke liye
salaami chashm hai...
sada e halq e bureeda se aayi sarwar ki
wo ibteda ke liye tha ye inteha ke liye
salaami chashm hai...
haram ke lootne asbaab saad o shimr layeen
chala jo zainab e nashaad ki rida ke liye
salaami chashm hai...
wo ro ke boli mai fatema ki beti hoo
rida na cheen sitamgar meri khuda ke liye
salaami chashm hai...