salaami kehte thay aada rulao zainab ko
sar e hussain sina par dikhao zainab ko
hussain imam ko ran may kiya tha jis se shaheed
wo khoon bhara hua khanjar dikhao zainab ko
salaami kehte thay...
imam hote thay zakhmi to kehte thay aada
jo qaime se nikal aaye dikhao zainab ko
salaami kehte thay...
na nikle dukhtare zehra jo qaime se baahar
pakad ke haath abhi khaynch lao zainab ko
salaami kehte thay...
sada e fatema aayi ke ay mere shabbir
tadap rahi hai galay se lagao zainab ko
salaami kehte thay...
jakad ke laaye khyber shikan ki beti ko
ye kehke shaam may dar dar phirao zainab ko
salaami kehte thay...
jo aayi shaam ke bazaar may to chillayi
ali ki qabr ka rasta dikhao zainab ko
salaami kehte thay...
kaha yazeed ne jab shimr se sar e darbar
kidhar hai dukhtar e zehra bulao zainab ko
salaami kehte thay...
chupa ke baalon se moo ko ye boli binte ali
khuda ke waaste logon chupao zainab ko
salaami kehte thay...
anees ahle haram may bapa hua mehshar
kaha jo haakim e azlam ne lao zainab ko
salaami kehte thay...