Kanz e Aza

Ghurbat ki inteha hai, na saya na rida hai

A salaam. Lyrics in Roman Urdu.

Ghurbat ki inteha hai, na saya na rida hai, zahra teri lahad par

Chand patharo'n ne mil kar, mehrooma likh diya hai

zahra teri lahad par


Teero'n bhari qaba thi, aur qoo'n bhari rida thi

Jo Shaam se bacha tha, Zainab ne rakh diya hai

zahra teri lahad par


Zindan ki ghutan se, har laashe bekafan se

Abid ne jo sambhala, woh aansu gir pada hai

zahra teri lahad par


Kya ye daleel kam hai us ki qamar me qam hai

Kayi bar aasma'n ne, sajda ada kia hai

zahra teri lahad par


Do pahr dhal rahe hai, qayyaam jal rahe hai

Tasveer Karbala ki, koi bana raha hai

zahra teri lahad par


Tere gham ki chand satrain, kaam aayain gi lahad may

Bakhsish Tauqeer ki hai, ye noha jo likha hai

zahra teri lahad par


Sun kar hawa bhi royi, khud Karbala bhi royi

Khak e rah e Najaf ne, jo marsia parrha hai

zahra teri lahad par

Noha by some party of lahore Writeups - Ghur


Jaise lage the pehre rone pe bibiyo ke

bilkul usi tarah ab pehra laga hua hai

Zahra teri lahad par


Abbas ka hai pehra rouze pe shaahe dee'n ke

ummul banee'n ka pehra ab bhi laga hua hai

Zahra teri lahad par


jis roz hai chorda shabbir ne madina

us din se aur bhi kuch sannaata hogaya hai

zahra teri lahad par