Ek sakta hai biyabaan ki fiza qamosh hai
qaak par laashe pade hai karbala qamosh hai
subha ki ahle haram ko yaad aati hai azaa'n
waqte maghrib hai, shabeehe mustafa qamosh hai
Wo humakna muskaaara aur lipatna shaah se
Asghare masoom ki har ek ada qamosh hai
Hai sakina god me zainab ke aansu hai rawaa'n
soti hai masoom aur maa behawa qamosh hai
hai shaheedo'n ke bhi laashe , laashaye sheh ke qareeb
qaafila saalar chup hai, qaafela qamosh hai
kuch dhua'n baaqi abhi hai, dher hai kuch raakh ke
sheh ke qaime jal chuke saari faza qamosh hai
bediya'n hai paae abid me to gardan me hai touq
roti hai zanjeer lekin naqshe paa qamosh hai