Kanz e Aza

Aye Salaami Khiyaam Jaltey Hain

A salaam for Imam Hussain (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Aye salaami khiyaam jaltey hain

Run may naamoos-e-sheh nikalthay hain


Run may bajthay hain fatha kay baajey

Darr sey beyvoun ke dum nikalthay hain


Baithi hain bibiyan andheray mein

Shaamiyon may charaag jalthay hain.


Zeray khanjar hain gardanay shabbir

Murtuza gham se haath malthay hain


Qabr-e-Asghar say kahti thi banu

Aye lahad hum yahaan say chalthay hain


Tu hamaari tarha se behlaana

Shab ko Asghar bahot machaltay hain


Peish haakim khadey hain ahle haram

Sab kay chehroun pa ashk dhalthay hain


Khainchtay hain galey sey teer Hussain

Mu sey Asghar lahu ugalthay hain


Zakhm jalthay hain garm hai jo zameen

Shaahey deen karwatain badalthay hain