Kanz e Aza

Tashnalab mazloom sarwar alvida

A salaam. Lyrics in Roman Urdu.

Tashna Lab Mazloom Sarwar Alwedaa

Fatima Zehra Ke Dilbar Alwedaa


Shaan-E Majlis Tha Tumhaara Zikr-E Gham

Rounaq-E Mehraab-O Mimbar Alwedaa


Hai Jawaani Bhi Wabaale Zindagi

Ab Tumhaare Gham Me Akbar Alwedaa


Lijiye Aun-O Mohammed Ab Salaam

Saberaa Zainab Ke Dilbar Alwedaa


Dil Se Ab Naqsh-E Wafaa Mit-Ta Nahi'n

Jaao Abbas-E Dilaawar Alwedaa


Majlisou'n Me Humko Rota Chowd kar

Muskuraate Jaao Asghar Alwedaa


Ab Na Zainab Jaaogi Tum Sar Khule

Nazr Hai Ashkou'n Ki Chaadar Alwedaa


Rote Hai Baqir Muhibbaan-E Hussain

Kehte Hai Sibte Payamber Alwedaa