Wajibur rehm the zinda'n ke sazawaar na the
Mujrayi ahle haram qaabile darbaar na the
Bole abid ke fidaae shahedee'n ghair hue
Ek faqat hum hi shahaadat ke sazaawaar na the
Teer asghar ko jo maara to kaha sarwar ne
hum gunahgaar the bache to gunahgaar na the
kaha zahra ne falak maine sataaya tha kise
mere bache to is aafat ke sazaawaar na the
sheh ke daanto pe chadi rakh ke kaha zaalim ne
hum ne is tarah ke dekhe dure shehwaar na the
Gul se talwo ka ye abid ki hua tha ehwaal
kounsa chaala tha wo jisme ke do qaar na the
gar maseeh do jahaa'n ka hua afzaal 'anees'
Ache yu'n honge jaise kabhi beemaar na the