Kanz e Aza

Zabaa'n par mad'ha hai baaghe Ali ke nounehaalo ki

A salaam. Lyrics in Roman Urdu.

Zabaa'n par mad'ha hai baaghe Ali ke nounehaalo ki

Gulistaa's se nahi kam majlise naazuk qayaalo ki


jagah jab mol li sheh ne to haatif ne kaha ro kar

yahi'n basti basegi faatema ke nounehaalo ki


Jab aata zikr beto ka to zainab roke kehti thi

khuda baqshe abhi kya umr thi un marne waalo ki


Dare qaima pe zainab peet kar sar ko ye kehti thi

Are logo qabar aayi na ran se mere laalo ki


kamar kas kar Ali akber ne jab shamla rakha sar par

balaae'n uth ke leli maa ne ghoongar waale baalo ki


Gire jab shaah ghode se nida haatif ki ye aayi

zamee'n jhaadi hui hai fatima zahra ke baalo ki


jawaanaane hussaini ne safe'n ulti pare tode

na bhoolegi ladaai ta qayaamat marne waalo ki