Zulm karte the jo sheh par baanie shar baar baar
kaamp jaati thi salami qabre hyder baar baar
barchiyaa'n maidaa'n me khaate the jo akbar baar baar
maa nikal aati thi qaime se tadapkar baar baar
banu kehti thi kaha'n se laau pani kya karu
pyas se ab hichkiya'n leta hai asghar baar baar
kehti thi banu ilaahi keejio waaris ki qair
aaj kyu sar se giri padti hai chaadar baar baar
shimr se boli sakina rehm kar masoom hu
maarta hai kyu tamaache aye sitamgar baar baar