Shabbir ko aati hai ye sada abbase dilawaar qatl hue
jaate hai kamar thaame moula abbase dilawaar qatl hue
Rote hue aate hai sarwar baba ko sambhaale hai akbar
behaal hai gham se shaahe huda abbase dilawaar qatl hue
jab gurze sitam sar par hai laga sar misle Ali doneem hua
Ghode se gire sambhla na gaya abbase dilawaar qatl hue
mashkeeza chida baazu jo kate phir mu ke bal ghode se gire
sar peet'ti hai gham se zahra abbase dilawaar qatl hue
bacho ko adoo tadpaayenge sajjad bhi durre khaaenge
cheenenge adu zainab ki rida abbase dilawaar qatl hue