Kanz e Aza

Salam Khaak Nasheenoun Pah Soghwaroun ka

A salaam. Lyrics in Roman Urdu.

Salam khaak nasheenoun pah soghwaroun ka

Ghareeb detey hain pursa tumhare pyaroun ka


Salam un pah jinhe sharm khaye jaati hae

Khule saroun pah aseeri ki qaak udhaati hae


Salam us pah joh zehmat kashe salasil hae

Museebatoun mein imaamat ki pehli manzil hae


Salam bhejtey hain apni shahzadi par

Ke jisko soump gaye marte waqt ghar Sarwar


Musafirat ne jise bebasi yeh dikhlaayi

Nisaar kar diye bachhe na bach saka bhayi


Aseer hoke jise shaamiyoun ke narghe mein

Hussainiyat hae sikhana Ali ke lehje mein


Sakina bibi tumhare ghulam haazir hain

Bujhe joh pyaas toh ashkoun ke jaam haazir hain


Pahaad raat badi der hae saverey mein

Kahan ho shaame ghareeban ke ghup andheray mein


Zameene garm yateemi ki saqtiyaan bibi

Woh seena jis pah ke so-ti thi ab kahan bibi


Yeh sin yeh hashr yeh sadmay naye naye bibi

Kahan pa baithi ho qaime toh jal gaye bibi


Janab maadarey besheer ko bhi sab ka salaam

Ajeeb waqt hae kya dein tassaliyoun ka payaam


Abhi kaleje mein ek aag si lagi hogi

Abhi toh goadh ki garmi na kam huvi hogi


Na is tarah koi kheti hari bhari ujdey

Tumhari maang bhi ujdi hae goadh bhi ujdi


Nahin andheray mein kuch soojhta kahaan dhoondein

Tumhara chand kahan chup gaya kahan dhoondein


Nahin layeenoun mein insaan koyi quda hafiz

Darinde aur yeh bewaarisi quda hafiz


Salam tum pah shaheedon ke bekafan laasho

Salam tum pah rasool-o-batool ke pyaaro


Bachein toh aglay baras hum hain aur yeh gham phir hae

Jo chal basein toh yeh apna salaame aaqir hae