Sar peeto karo maatam barpa jaate hai jahaa'n se haaye Ali
hai koun e makaa'n me shor o buka jaate hai jahaa'n se haaye Ali
hai kaisa sitam masjid me hua, sajde me hue zaqmi moula
jibreel amee'n dete hai sada, jaate hai jahaa'n se haaye Ali
Be jurm o qata ye zulm kiya, kya qoob diya neki ka sila
sajde me namaazi ko maara, jaate hai jahaa'n se haaye Ali
hai zaqmm laga sar par gehra, aur zard hua saara chehra
sar thaame tadapte hai moula, jaate hai jahaa'n se haaye Ali
zainab ne yahi ro ro ke kaha, gar jald na aayenge baba
nikloongi mai ghar se be parda, jaate hai jahaa'n se haaye Ali
taaboot se lipti hai zainab, rukhsat ki ghadi hai haaye ghazab
uth'ta hai janaza hyder ka, jaate hai jahaa'n se haaye Ali
hai gham me ali ke haal bura, shabbir bayaa'n ho kaise bhala
ho lab pa musalsal waawaila, jaate hai jahaa'n se haaye Ali