Salami Jaa'n gaza Hai Ranj–O-Gham Qaasaan-E Dawar Ka
Qalaq Sibtain Ka, Zehra Ka, Hyder Ka, Payambar Ka
Sadaa Shohra Rahega Judh-O Khulqo Zor-E Hyder Ka
Qataar-O Shair-O Angushtar Ka, Darkaaroh Ke Par Ka
Ali Ki Tegh Ke Dam Se Huwa Har Mareka Faisal
Ohad Ka, Badr Ka, Siffin Ka, Qandaq Ka, Qaibar Ka
Ye Paancho'n Soore hai jo Panjatan Ki Shaan Me Aaye
Qamar Ka, Shams Ka, Rahman Ka, Maryam Ka, Kousar Ka
Ghulame Panjatan Ko Darr Nahi In Paanch Chizou'n Ka
Ajal Ka, Jaan-Kani Ka, Qabr Ka, Barzaq Ka, Mahshar Ka
Hamare Waste Sheh Ne Gawara Kar Liya Mitna
Haram Ka, Aabru Ka, Jaan Ka, Aulaad Ka, Ghar Ka
Sakina Legayi Ye Paanch Daagh Is Baaghe Aalam Se
Tamachoun Ka, Rasan Ka, Baap Ka, Saqqe Ka, Gouhar Ka
Ghazab Hai Itne Sadme ek Jaan Qwaahare Sheh Par
Rida Ka, Qaid Ka, Bachcho'n Ka, Akbar Ka, Baradar Ka
Tahe Qanjar Imam –E- Paak Ko Kis Kis Ka Dhyaan Aaya
Bahan Ka, Beti Ka, Beemar Ka, Ummat Ka, Meh-Zar Ka