Ran me gala kata diya moula hussain ne
Sajde ka haq adaa kiya moula hussain ne
Hur ki qataae'n baqsh di sibte rasool ne
dozaq se yu bacha lia moula hussain ne
taareekiyo'n ka des thi ye arze karbala
sooraj use bana diya moula hussain ne
karbobala se quld-e-baree'n do qadam pe hai
kya qoob ye pata diya moula hussain ne
akbar ko ran me bhej diya aur chup rahe
Islam ko jila diya moula hussain ne
asghar ko dafn kar diya dashte qitaal me
dil qaak me mila diya moula hussian ne
qaime jale rida chine deene nabi rahe
zainab ko ye bata diya moula hussain ne
'rehan aazmi' tujhe izzat hui naseeb
tu kya tha kya bana diya moula hussain ne