khat me soughra ne ye likha baba
haal kaisa hai aapka baba
mera kya tha qasoor batlaao
kyu mujhe door kar diya baba
aapke deed ki tamanna me
roz takti hu raasta baba
karke mu karbala ki jaanib mai
padhti rehti hu marsia baba
jhoole waale ki yaad me har pal
dil tadapta hai ab mera baba
aake dekho to ek nazar mujhko
haal kya mera hogaya baba
aisa jeena bhi koi jeena hai
mout ki karti hu dua baba
margayi mai to meri turbat par
aake padh dena faateha baba