Kanz e Aza

Dil Thaam Kay Yeh Kubra Ney Kahaa

A salaam for Shahzade Qasim (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Dil thaam kay yeh kubra ney kahaa

Kyun mujhko akeilaa chodd chaley

Bathlaao mujhey Qasim dulha

Kyun mujhko akeilaa chodd chaley


Munh modd kay tum ko jaana tha

Gar chodd kay mujhko jaana tha

Kyun haath mera thaama tha bhalaa

Kyun mujhko akeilaa chodd chaley


Raas aayi na bachpan ki shaadi

Dekho toh meri yeh barbaadi

Kis jurm ki paayi mainey sazaa

Kyun mujhko akeilaa chodd chaley


Shaadi thi meri kya khoob rachi

Sab mujhko dulhan kehtay thay abhi

Aur kehtay hain ab mujhko bevaa

Kyun mujhko akeilaa chodd chaley


Chupp kis liye ho bolo qaasim

Baazu sey rasan kholo qaasim

Hothi hai bahoth mujhko izza

Kyun mujhko akeilaa chodd chaley


Ab kaun karey imdaad meri

Ab kaun sunaaye faryaad meri

Koyi bhi nahin sunnay walaa

Kyun mujhko akeilaa chodd chaley


Manzar tha qayamath ka woh nazar

Phatt-taa tha har ek ka gham sey jigar

Ro ro kay jo kehti thi kubra

Kyun mujhko akeilaa chodd chaley