Aye ghuncha dahan bekas dulha
Aye seam badan bekas dulha
Mujrey ke liye aayi hae uttho
Naashaad dulhan bekas dulha
Duniya se nayi yeh shaadi hai
Dono he taraf barbaadi hai
Shabbir ki beti bewah dulhan
Aur ibne Hassan bekas dulha
Hae khowf mujhe naaraaz na ho
Marzi hai tumhaari kya bolo
Mein haath mein ab kangna rakhoon
Ya rakhoon rasan bekas dulha
Humnaam hoon main bhi daadi ki
Hae tumko qasm is shaadi ki
Banwaado mujhe bhi ronay ko
Ek baithul hazan bekas dulha
Yeh beqabri mujhsey Qasim
Chilthey hain mere paonchey Qasim
Khulwa doh ke uljhi jaati hae
Kangne mein rasan bekas dulha