Kanz e Aza

Darouna Jungle, Hai Raat Andheri,

A salaam. Lyrics in Roman Urdu.

Darouna jungle, hai raat andheri,

Sitaare kuch jhilmila rahe hain

Pardey hain rethi pah chand laashe

Joh apna gham aap kha rahe hain


Hae aisa bigda huva zamana na

Gore hae aur na shamiyana

Falak pah abre siyaah ke lakke

Udaasi bun bun ke cha rahe hain


Na koyi zaqmoun ka dhone wala

Na koi murdoun pah ronay wala

Parind kuch kar rahe hain naalay

Darindh kuch qaak uda rahe hain


Shikista hathyar kuch padey hain

Yeh loug shayad yahan lade hain

Laday toh woh honge joh badey hain

Nazar toh bachhe bhi aarahe hain


Yeh run joh is waqt bolta hae

Unhee shaheedon ki yeh sada hae

Musafir aatey hain joh idhar se

Woh raah katrah ke ja rahe hain


Haram pah kya guzri baad inke

Nahin zaroorat ke koi bole

Jale huve joh pade hain qaime

Khud unka lutna batah rahe hain


Shifa-ate hashr karne wale

Kahen woh joh kar guzar ne wale

Ghayoor hain yeh woh marne wale

Joh hum ko ab tak rula rahe hain