Kanz e Aza

Chala Hai Karbala Ko

A salaam for Arbayeen - Wapasi. Lyrics in Roman Urdu.

chala hai karbala ko karwan aahista aahista

alam ke cha rahi hai badliyan aahista aahista


ali akbar jawan ki qasam mud kar kar zara dekho

chali aati hai peeche peeche maa aahista aahista

chala hai karbala ko…


pidar ki quwwate bardaasht ka tha dhyan akbar ko

badi mushkil se li angdaiyan aahista aahista

chala hai karbala ko…


badan sab choor tha zakhmon se qasim ka dame murdan

badi mushkil se li hichkiyan aahista aahista

chala hai karbala ko…


kinaare nehr ke abbas aaye to salaami ko

nikal aayi thi saari machliyan aahista aahista

chala hai karbala ko…