Qaid se chhut kar jab chala qafela
Phir dobara huwa waride Karbala
Karke chehlum madine rawana huwa
Ghar jo pahunche to zainab ne rokar kaha
Aao sughra suno lo sunani suno
Hale dil ghum zadon ki zubani suno
1) Hum chale the kabhi tumse hokar Vida
Do moharram ko pahunche the karbobala
Sathwi aayi aur band pani huwa
Saare khaimon mein thi alatash ki sada
2) jab tule ran mein daswin ka suraj huwa
Khatle aale nabi ki huwi ibteda
Asr tak mard bakhi koi na raha
Had to ye hai ke asghar bhi mara gaya
3) phir jo maqtal mein shame ghariban huwi
Jalgaye sare qaime ridayein chhini
Shimr ne wo jafa phir Sakina pe ki
Jal gaya pairahan baliyan chhin gayi
4) Teer se pyaas jiski bujhayi gayi
Jab saron mein kami uski payi gayi
Qabr se lash asghar nikali gayi
Aur churi us gale par chalayi gayi
5) Be kajawa wo oonto pe ahle haram
Leke kufa chale hum ko ehle sitam
Taziyano ki uspar jafa dam badam
Yaade Abbas aati rahi har khadam
6) Pehle bazaar sare sajaye gaye
Shaam-o-kufa mein dar dar phiraye gaye
Hum gunehgar o qaidi bataye gaye
Hum se yun khoon ke ansoo rulaye gaye
7) Ek rassi mein bara gale bandh kar
Hum ko darbar mein laye jab ahle shar
Tha sitamgar to baitha huwa taqt par
Tasht mein tha rakha mere bhai ka sar
8) Hale zindan kis tarha se ho bayan
Ek baras ke barabar tha ek pal jahan
Zikr rakhkar rehayi ka wirde zaban
Hogayi dafn bali sakina waha
9) Shaam mein karke zainab ne sheh ki aza
Zikre sarwar ka humko salikha diya
Hum bhi rouze pe ja kar karein haq Ada
Hai ye arman Aqeel aur Farman ka
Aao sughra suno lou sunani suno
Hale dil ghum zado ki zubani suno
By Janab Mir Ashraf Ali (Aqeel)Sahab Hyderabadi