Kanz e Aza

Boli ye zainab dukhya tera chehlum karne

A salaam. Lyrics in Roman Urdu.

Boli ye zainab dukhya tera chehlum karne

bhai mai aai hu karbobala chehlum karne


aapki laadli ko shaam ke zindaa'n me aqi

chord kar aayi hu mai aapka chehlum karne


sar khule koofe ke aur shaam ke bazaro se

phir ke aayi hai behen bhai ka chehlum karne


dekho uth ke to zara bhai ye ujda kunba

lut ke aaya hai mera qafela chehlum karne


boli laila mere atthara baras ke paale

haaye mai reh gayi beta tera chehlum karne


dafn karke shahe mazloom ko abid ne kaha

haaye qismat meri mai reh gaya chehlum karne