Ali Sa Bhi Na Koi Aadil –E- Zamana Huwa
Ke ek Baaz–O- Kabutar Ka Ashiyana Huwa
Maki'n Rahe Na Makaa'n, Tarfa Kaarkhana Huwa
Zami'n Ulat Gayi Kya Munqalib Zamana Huwa
Andheri Qabr Thi Aur Mai Tha Ya Ali Wali
Huzoor Aaye To Roushan Siyah Khana Huwa
Raha Na Koi Bahathtar Me Zohar Tak Baaqi
Hussain Rehgaye Aur Qafela Rawana Huwa
Mila Na Asghar –E- Nadaa'n Ko Jaam Paani Ka
Surahi Daar Gala Teer Ka Nashana Huwa
Firaaq –E- Shaah Ka Sadmaa Utha Sakina Se
Qalaq Se Jaan Gayi, Mout Ka Bahana Huwa
Bhatak Ke Raah Me Peeche Kahi'n Na Reh Jaau'n
Utho Anees Utho Khafela Rawana Hua