Kanz e Aza

Karyal Jawaan ki Laash Pay

A noha for Ali Akbar (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Karyal jawaan ki laash pay

Kitne sitam Hussain nay, tanha uthaay hain


Kia vakhth agaya hay Muhammad ki Aal par

Sehdania yay kehthi thi sar apna peet kar

Shabbir kiska khoon yay, rukh par lagaay hain


Taarikh Bhi Hussain ki ghurbat pay ro pari

Betay ki laash baap say run may na uth saki

Islam nay Hussain ko, Kya din dikhaye hain


Mehmane Karbala pay qayamat guzargai

Akbar ki laash khoon may doobi hui mili

Nayzon kay zakhm Bhi Ali, Akbar nay khaaye hain


Khayyam ahlebait may matam bapa hua

Zainab nay jab Hussain say roro kay yeh kaha

Maqtal may hum sagheer ko, dafna kay aaye hain