kehti thi madar ay ali akbar
ran se do awaaz mujhe
maa tumhe khud le aaye jaa kar
ran se do awaaz mujhe
kehti thi madar...
ay mere abroo kaman soye hue ho kahan
moo se to bole zara dhoondti hai tumko maa
maine ye socha tha kab ay mere tisdhna-dahan
daaghe pisar pa'ungi tha ye mujhe kab gumaan
socha tha aisa kab dilbar
reh gaye saare khaab bikhar kar
ran se do awaaz mujhe
kehti thi madar...
mujhko yehi lagta hai jaise abhi aaoge
aate hi qadmo se tum maa ke lipat jaaoge
meri pareshani par kuch to taras khaoge
harfe tasalli se tum dil mera behlaoge
dogay dilaasa ali akbar
aisa magar hone laga kyon kar
ran se do awaaz mujhe
kehti thi madar...
jinpe mujhe naaz tha sabko khaza aagayi
gulshane umeed ki har kali murjhagayi
ghar ke charago ko ye kis ki nazar kha gayi
teeragi-e-shame gham charon taraf se cha gayi
dhaate hai aada sitam hum par
jalte hai qaime chinti hai chadar
ran se do awaaz mujhe
kehti thi madar...
shaam e ghareeb aa gayi raat hui jab ayaan
sayyade sajjad thay ghash mein pade neem jaan
aise mein zainab bani ghamzadon ki pasban
honton pe mohsin magar laila ke thi ye fughan
royegi tumko sada maadar
ay mere pyaase ay mere dilbar
ran se do awaaz mujhe
kehti thi madar...