Kanz e Aza

Kis ne Batao Zehar Diya Moula Hassan Ko

A noha for Imam Hassan (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Teeron Se Kis Ne Surkh Kiya Is Kay Kafan Ko


Dozakh Banay Ga Joda Tera Ab To Thikanaa

Lanat Karay Ga Hashar Talak Tujh Peh Zamana

Tu Ne Zehar Jo De Diya Imam e Zaman Ko


Kya Janti Nahin Ti Yeh Ahmad Ka Sukhan Hai

Mera Hai Lakht e Jigar Hassan Mera Badan Hai

Kyun Maara Pahla Teer Mohammad Kay Badan Ko


Qasim Ki Maa Se Bolay Sheh e Hassan e Mujtaba

Mere Jigar Kay Tukray Kahin Farwa De Chupha

Qasim Bula Nah Laye Kaheen Meri Behan Ko


Qasim Kay Sar Seh Baap Kah Saya Hai Uth Gaya

Farwa Ne Ro Ke Zainab O Kulsoom Se Kaha

Ummat Ne Kaar Diya Hai Weeraan Meray Sahair Ko


Saar Main Hain Khaak Daalay Huway Log Jo Fida

Zainab Karay Gi Hashar Main Un Ke Liye Dua

De Ne Hain Aaye Pursa Jo Khatoun e Azan Ko.