Kanz e Aza

Karbala Aagaye

A noha written by Gohar Jarchvi. Lyrics in Roman Urdu.

karbala aagaye islam bachane waale


bichgaya farshe aza chid gayi shabbir ki baat

arsh waale bhi hai ab farsh pe aane waale

karbala aagaye…


kis khadar chain se sotay hai sare karbobala

deene islam ki taqdeer jagane waale

karbala aagaye…


mere aaqa teri ghurbat pe zaeefi pe salaam

ay jawan bete ki mayyat ko uthane waale

karbala aagaye…


be-khatar hoke satayenge sakina ko udoo

ab kahan zulm se bachi ko bachane waale

karbala aagaye…


hashr ke roz jahanum mein jalenge aakhir

ban mein saadaat ke qaimon ko jalane waale

karbala aagaye…


sab tere shayr zamane ko sunaate hai gohar

padne waale ho naye chaahe purane waale

karbala aagaye…