hamay jaan se hai pyara ghazi alam tumhara
abbas ye alam hai qaumi nishan hamara
nisbat se teri ghazi haajat rawan hai ye bhi
parcham ye mushkilon mein momin ka hai sahara
hamay jaan se hai...
sher e khuda ali hai tu sher e murtaza hai
har lab pe goonjta hai abbas tere naara
hamay jaan se hai...
tu hai dua e zehra tu hai rida e zainab
ummul baneen ki tu aankhon ka hai sitara
hamay jaan se hai...
imdaad uski karne ban ke ali hai aaya
jab bhi jahan bhi jis ne ghazi tujhe pukara
hamay jaan se hai...
taqdeer hai jagata aulaad baant'ta hai
sunta hai iltejayein maula ali ka pyara
hamay jaan se hai...
jab bhi diya jala ke abbas ko sada di
gham paas matami ke aaya nahi dobara
hamay jaan se hai...
banta nahi hai koi zawwar karbala ka
abbas bawafa ka jab tak na ho ishara
hamay jaan se hai...
jawad kar raha hai tazeem ke jo sajde
ghazi tera alam bhi rauze ka hai nazara
hamay jaan se hai...