AZMATON KI MAALIKA BAAZAR MEIN....
Azmaton ki Maalika bazar mein (x5)...
Haaye Zainab (s.a) be rida bazaar mein...
1] Shaam walon ne Sajaya shaam ko, daawaten bheji hujoom e aam ko...
Laaye phir aale aba bazaar mein...
2] Ek khutba aapne aisa padha, Ek sahabi peet kar kehta raha...
Aa gaye ya Murtaza (a.s) bazaar mein...
3] Sar ke khoon me tar hai jiski ab jabeen, Dar haqeeqat shaamion Zainab (s.a) nahi...
Aa rahin hain Fatima (s.a) bazaar mein...
4] Ae khuda usko bohot tauqeer de, Dard e ahlebait (a.s) ki jageer de...
Jisne ye nauha suna bazaar mein...
5] Hai kathin bazar wale marhale
Ek rassi se bandhe baara gale
Khoon abid ro raha bazar me
6] Shamiyo me warise thatheer hu Or haya o sharm ki tafseer hu
Binte zehra ne kaha bazar me
7] Zaqmi chehre pe tha balou ka naqaab
Shaam walo se tha zainab ka khitaab
Ro rahi thi har ada bazar me
8] Kon Hai Jo Khauf Se Soyi Nahi
Shimr Se Sehmi Hai Yu Royi Nahi
Kiska Bandha Hai Gala Bazaar Mein
Azmaton Ki Malika Bazaar Mein