Kanz e Aza

Akbar Tadap Uthe

A noha for Ali Akbar (a.s), written by Ali Izhaar. Lyrics in Roman Urdu.

khaynchi pisar ke seene se barchi jo shaah ne

akbar tadap uthe haye akbar tadap uthe


bete ka haal dekh ke shabbir ro diye

akbar tadap uthe haye akbar tadap uthe


mayyat ko is zaeefi mein kaise uthayenge

laashe ko mere kaise ye ghar le ke jayenge

dard e jigar ko bhool ke bas yehi soch ke

akbar tadap uthe...


dekha jawan laal ko jis waqt khoon mein tar

aaya nazar jo shaah ko dam tod'ta pisar

apne jigar ko thaam ke shabbir reh gaye

akbar tadap uthe...


awaaz par pisar ki jo aaye shahe zamaan

kuch bhi nazar na aata tha tareekh tha jahan

shabbir khaa ke thokarein maqtal mein jab gire

akbar tadap uthe...


barchi jo khaynchi shaah ne lekar ali ka naam

haalat pisar ki dekh ke rone lage imam

barchi ka phal jo reh gaya seene mein toot ke

akbar tadap uthe...


ek ghamzada ka aagaya maqtal mein jab khayal

sughra ka haal soch ke badhne laga malaal

aur phir ukhadti saans mein hamsheer ke liye

akbar tadap uthe...


yehi tha gham ke chadarein cheenenge ashkiyan

har bibi ye pukaaregi haye meri rida

jab ye khayal aagaya maa hogi sar khule

akbar tadap uthe...


jab waqt e nazha ran mein thi akbar ki hichkiyan

jab naujawan tha aakhri saanson ke darmiyan

hasrat se apne laal ko jab dekha baap ne

akbar tadap uthe...


izhaar ban mein jis ghadi zainab ko di sada

akbar ka dam nikalta hai jab ro ke ye kaha

jab ye kaha ke aake dilaasa to dijiye

akbar tadap uthe...