darr hai ke nikal aaye na seene se kaleja
akbar tere seene se sina kaise nikalun
ye soch ke dil tukde hua jaata hai mera
akbar tere seene se sina kaise nikalun
aasaan nahi peeri mein sehna koi sadma
ek baap ka marna hai jawan bete ka marna
dam niklega tera to mai mar jaunga beta
akbar tere seene se...
seena tera zakhmi hai lahoo behta hai saara
ulfat ka taqaaza hai ke kuch bhi nahi dikhta
seene ko tere baap ne bachpan se hai chooma
akbar tere seene se...
tar khoon mein bete ko bhala dekhegi kaise
jaari hai abhi khoon tere zakhm e jigar se
mar jayegi ye dekh ke maadar teri laila
akbar tere seene se...
barchi jo nikaali to na reh paaoge zinda
mushkil mein bahot aaj hai beta tera baba
maloom hai mar jaaoge kuch dayr mein beta
akbar tere seene se...
haathon mein nikal jayega dam ay mere beta
is dasht mein reh jaunga ab bekas o tanha
ye soch ke rota hai bahot ye tera baba
akbar tere seene se...
qasim bhi nahi ab mera abbas kahan hai
har simt sitamgaar hai dushman ye jahan hai
tanha hi uthana hai mujhe ab tera laasha
akbar tere seene se...
baithi hai yehi aas lagaye huwe dukhiya
dulha mai banaungi mera aayega bhaiya
sehre ko sajati hui reh jayegi sughra
akbar tere seene se...
ay danish o rehan koi kaise likhega
ek baap ne dekha hai nikalte jo kaleja
kehte huwe shabbir ne jab naiza nikaala
akbar tere seene se...