akbar teri behna ko teri yaad sataati hai
veeran haveli mein bemaar bulaati hai
akbar tera waada tha mai lene ko aaunga
bin tere meri behna sehra na sajaunga
kapde teri shadi ke hamsheer banaati hai
veeran haveli mein...
akbar teri behna ko...
khat bheja na khud aaye kya baat hui bhaiya
mai des mein tanha hoo pardes mein hai kunba
din mujhko rulaate hai shab mujhko daraati hai
veeran haveli mein...
akbar teri behna ko...
ek baar jhulaaun mai jhoola ali asghar ka
dekha hi nahi kab se chehra ali asghar ka
roti hoo nazar meri jab jhoole pe jaati hai
veeran haveli mein...
akbar teri behna ko...
bhaiya teri sughra ko dhaaras hai tere dam se
itna to bata jao kyun door huwe hum se
din beet gaye kitne ab jaan ye jaati hai
veeran haveli mein...
akbar teri behna ko...
zakhmi tha tera seena kal khwaab mein dekha tha
kuch aag ke sholay thay jalta hua jhoola tha
is khwaab ki sughra ko ta'beer rulaati hai
veeran haveli mein...
akbar teri behna ko...
bemaar shifa paaye akbar jo mera aaye
bin apne maseeha ke ghut ghut ke na mar jaye
dhadkan tere aane ki bas aas bandhaati hai
veeran haveli mein...
akbar teri behna ko...
abbas chacha tum hi baba se kaho jaa kar
akbar nahi aa sakte le jao tum hi aa kar
dam ghut'ta hai akbar ki jab yaad sataati hai
veeran haveli mein...
akbar teri behna ko...
zeeshan o raza ka bhi maqbool ho ye pursa
zinda hai qayamat tak irfan ka ye nauha
aawaz ye nasir ki har dil ko rulaati hai
veeran haveli mein...
akbar teri behna ko...