Kanz e Aza

Jab Qata ki Masafat e Shab Aaftaab ne

A noha. Lyrics in Roman Urdu.

Jalwa kiya sahar ke rukhe behijaab ne


Dekha suwe falaq shahe gardoon raqaab ne

Mudh kar sada rafeeqo ko di us janaab ne


Aakhir hai raat hamd o sanaye khuda karo

Utho fareezaye sahri ko ada karo


Haan ghaaziyon ye din hai jidaal o qitaal ka

Yaan khoon bahega aaj Mohammad ki aal ka


Chehra khushi se surkh hai Zahra ke laal ka

Guzri shabe firaaq din aaya visaal ka


Hum wo hain gham karenge malak jin ke waastey

Raatein tadap ke kaati hai is din ke waastey


Ye sunke bistaron se uthe wo khuda shinaas

Ek ek ne zebe jism kiya fakhira libaas


Shane muhasino mein kiye sab ne be hiraas

Baandhe amame aaye imame zaman ke paas


Rangeen abaayein dosh pe kamre kasey huwe

Muskh o zibaad o itr mein kapde basey huwe


Khaime se nikle shay ke azeezaane khush khisaal

Jin mein kayi thay hazrate khairun nisa ke laal


Qasim sa gul badan ali Akbar sa khush jamaal

Ek jaa Aqeel o Muslim o Jafar ke nau nihaal


Sab ke rukhon ka noor sipahre bareen pa tha

Athara aaftaabon ka ghuncha zameen pa tha


Nagaah charkh par khate abyaz huwa ayaan

Tashreef jaanemaaz pe laaye shahe zamaan


Sajjade bich gaye aqabe shahe ins o jaan

Saute Hasan se Akbar e Mahrooh ne di azaan


Har ek ki chashm aansuon se dab daba gayi

Goya sada Rasool ki kaano mein aagayi


Namoose Shaah rotey thay khaime mein zaar zaar

Chupke khadi thi sahn mein bano e naamdaar


Zainab balayein leke ye kahti thi baar baar

Sadqe namaziyoon ke muazzin ke main nisaar


Karte hain yoon sana o sifat zul jalaal ki

Logon azaan suno meri yousuf jamaal ki


Ye husn e saut aur ye qirat ye shad o madd

Haqqa ke afsahul fusuha thay inhi ke jadd


Goya hai lahn e Hazrat e Dawoode ba khiradd

Ya Rabb rakh is sada ko zamane mein taa abadd


Shu’be sada mein pankhadiyaan jaise phool mein

Bul bul chahak raha hai riyaaz e Rasool mein


Saf mein huwa jo naraye qad qaamatis salaat

Qaim huwi namaaz uthey shahe qainaat


Wo noor ki safein wo musalli falak sifaat

Sardaar ke qadam ke taley thi rahe nijaat


Jalwa tha ta ba arshe mu’alla Hussain ka

Mus haf ki lauh thi ke musalla Hussain ka


Quraan khula huwa ke jama’at ki thi namaaz

Bismillah aagey jaise ho yoon thay shahe hijaaz


Satrein thi ya safein aqab e Shahe sarfaraaz

Karti thi khud namaaz bhi inki adaa pe naaz


Sadqe sahar bayaaz pe bainas sutoor ki

Sab aayatein thi mus hafe naatikh ki noor ki


Dunya se uth gaya wo qayaam aur wo qaood

Inke liye thi bandagi wajibul wujood


Wo ajz wo taweel ruku aur wo sujood

Ta’at mein neest jaantey thay apni hast o bood


Taqat na chalne phirne ki thi haath paon mein

Gir gir ke sajde karte thay taghoon ki chaon mein


Farigh huwe namaaz se jab qibla o anaam

Aaye musafahe ko jawaanan e tashnakaam


Chume kise ne dast e Shahinshaah e khaas o aam

Aakhein miley kisi ne qadam par ba ehteraam


Kya dil thay kya sipaah e rasheed o sayeed thi

Ba ham mu’anaqe thay ke marne ki eid thi


Zaari thi ilteja thi munajaat thi idhar

Waan sar kashi o zulm o ta’addi o shor o shar


Kahta tha ibne saad ye jaa jaa ke nahr par

Ghatoon se hoshiyaar tarayi se ba khabar


Do roz se hai tashna dahani Hussain ko

Haan martey dam bhi deejiyo na pani Hussain ko


Baithey thay jaanemaaz pe shahe falak sareer

Nagaah qareeb aake girey teen chaar teer


Dekha har ek ne mudhke suwe lashkar e kaseer

Abbas uthey tol ke shamsheer be nazeer


Parwane thay siraaj e imamat ke noor par

Rokey sipar huzoor karamat zahoor par


Akbar se mudhke kahne lage Sarware zamaan

Baandhe hai sarkashi pa kamar lashkare giraan


Tum jaake kahdo khaime mein ye ay pidar ki jaan

Bachon ko leke sahn se hatt jaaye bibiyaan


Ghaflat mein teer se koi bacha talaf na ho

Darr hai mujhe ke gardane asghar hadaf na ho


Kahte thay ye pisar se Shahe aasmaan sareer

Fizza pukari deordhi se ay khalq ke ameer


Hai hai ali ki betiyaan kis jaa ho goshgeer

Asghar ke gahware tak aakar girey hain teer


Garmi se saari raat ye ghut ghut ke roye hain

Bachey abhi tou sard hawa paake soye hain


Baqir kahin parha hai Sakina kahin hai ghash

Garmi ki fasl ye tab o taab aur ye atash


Ro ro ke sogaye hain sagheerane maahwash

Bachon ko leke yaan se kahan jaaye faqa kash


Ye kis khata pe teer piya pe barastey hain

Thandi hawa ke waastey bachey tarastey hain


Uthey ye shor sunke Imame falaq viqaar

Deordhi tak aaye dhaloon ko roke rafiq o yaar


Farmaya mudhke chaltey hain ab bahre kaarzaar

Kamre kasoo jihaad pe mangwao raahwaar


Dekhein fizaa behisht ki dil baagh baagh ho

Ummat ke kaam se kahin jaldi firaagh ho


Khaime mein jaake shay ne ye dekha haram ka haal

Chahre tou faqq hai aur…


Zainab ki ye dua thi ke ay Rabbe Zuljalaal

Bach jaaye is fasaad se khairun nisa ka laal


Bano e naik naam ki khaiti hari rahey

Sanndal se maang bachon se godhi bhari rahey


Boley qareeb jaake shahe aasmaan janaab

Muztar na ho dua’en hain tum sab ki mustajaab


Maghroor hain khata pe ye sab khanuma kharaab

Khud jaake mein dikhata hoon inko rahe sawaab


Mauqa nahi bahan abhi faryaad o aah ka

Laao tabarrukaat Risaalat panaah ka


Meraaj mei Rasool ne pahna tha jo libaas

Kashti mein laayi Zainab usey Shahe deen ke paas


Sar par rakha amamae Sardare haq shinaas

Pahni qabaye paak Rasoole falaq asaas


Bar mei durust o chust tha jama Rasool ka

Rumaal Fatima ka amama Rasool ka


Kapdoon se aarahi thi Rasoole zaman ki bu

Dulha ne sunghi hogi na aisi dulhan ki bu


Hyder ki Fatima ki Hussain o Hasan ki bu

Pheli huwi thi chaar taraf Panjetan ki bu


Lut ta tha itr waadi ambar sarisht mein

Gul jhumtey thay baagh mein Rizwaan behisht mein


Poshaak sab pahan chukey jis dam shahe zaman

Lekar balaein bhai ki ronay lagi bahan


Kehti thi hai aaj nahi Hyder o Hasan

Amma kahan se laye tumhe ab ye be watan


Rukhsat hai ab Rasool ke yusuf jamaal ki

Sadqe gayi balein tou lo apne laal ki


Hathyaar idhar laga chuke moula e khaas o aam

Tayyar udhar huwa alam e Sayyide anaam


Duaaein maangti gird thi saidaniyaan tamaam

Roti thi thaamey chobe alam khwahare imaam


Teghein kamar mei dosh pe shamley padey huwe

Zainab ke laal zere alam aa khade huwe


Gah maa ko dekhte thay kabhi jaanibe alam

Na’ra kabhi ye tha ke nisaar e Shahe umam


Karte thay dono bhai kabhi mashware baham

Aahista poochtey kabhi ma se wo zee hasham


Kya qasd hai Alliye wali ke nishaan ka

Amma kise milega alam nana jaan ka


In nanhe nanhe haathon se uthega ye alam

Chotey qadoon mein sabse sinoo mein sabho se kam


Nikle tanoo se sibte Nabi ke qadam pe dam

Ohda yahi hai bas yahi mansab yahi hasham


Rukhsat talab agar ho tou ye mera kaam hai

Maa sadqe jaaye aaj tou marne mein naam hai


Phir tum ko kya buzurg thay jo fakhre roz gaar

Zeba nahi hai wasf e izafi pe iftekhaar


Johar wo hai jo taegh karey aap aashkaar

Dikhlado aaj Hyder o Jafar ki kaarzaar


Tum kyon kaho ke laal khuda ke wali ke hain

Faujein pukare khud ke nawase ali ka hain


Ab jisko tum kaho usey dein fouj ka alam

Ki arz jo salaah shahe aasmaan hasham


Farmaya jabse uthgayi Zahra e ba karam

Us din se tumko maa ki jagah jaantey hain hum


Malik ho tum buzurg koi ho ke khurd ho

Jisko kaho usiko ye ohda sipard ho


Boli bahan ke aap bhi tou lein kisi ka naam

Hai kis taraf tawajjo e Sardar o khaas o aam


Gar mujhse poochtay hain shahe aasmaan maqaam

Quran ke baad hai tou ali hi ka kuch kalaam


Shaukat mein qadd mein shaan mein humsar nahi koi

Abbas e naamdaar se behtar nahi koi


Aashiq ghulaam khadim e dereena jaan nisaar

Farzand bhai zeenate pehlu wafa shi’aar


Jarrar yaadgaar e pidar fakhre rozgaar

Rahat rasaa mutee o namudaar o naamdaar


Safdar hai sher dil hai bahadur hai naik hai

Bemisl saekdon mein hazaroon mein aik hai


Aakhon mein ashk bhar ke ye boley shahe zaman

Haan thi yahi ali ki wasiyyat bhi ay bahan


Acha bulayein aap kidhar hai wo saff shikan

Akbar chacha ke paas gaye sunke ye sukhan


Ki arz intezaar hai shahe ghuyoor ko

Chaliye phuphi ne yaad kiya hai huzoor ko


Abbas aaye haathon ko jordhe huzoor e shaah

Jao bahan ke paas ye bola wo deen panaah


Zainab wahin alam liye aayi ba izzo jaah

Boley nishaan ko leke shahe arsh baargaah


Inki khushi wo hai jo riza Panjetan ki hai

Lo bhai lo alam ye inayat bahan ki hai


Munh karke suwe qabre ali phir kiya khitaab

Zarre ko aaj kardiya Moula ne aaftaab


Ye arz khaaksaar ki hai Ya Abu Turaab

Aaqa ke aagey hoon mein shadath se bahre yaab


Sar tan se ibne Fatima ke ru baru girey

Shabbir ke paseene pe mera lahu girey


Ye sunke aayi zaojaye Abbas e naamwar

Shohar ki simpt pehle kinkhiyoon se ki nazar


Lee sibte mustafa ki balayein ba chashme tar

Zainab ke gird phirke ye boli wo nauhagar


Faiz aap ka hai aur tasadduq Imaam ka

Izzat badi kaneez ki rutba ghulaam ka


Sar ko laga ke chathi se Zainab ne ye kaha

Tu apni maang kookh se thandi rakhe sada


Ki arz mujhse laakh kaneezein hoon tou fida

Bano e naamwar ko suhaagan rakhe khuda


Bachey jiye taraqqiy e iqbal o jaah ho

Saaye mein aap ke Ali Akbar ka byaah ho


Naagaah aakey bali Sakina ne ye kaha


Kaisa hai ye hujoom kidhar hai mere chacha


Ohda alam ka unko mubarak karey khuda

Logoon mujhe balayein tou lene do ek zara


Shaukat Khuda badhaye mere ammu jaan ki

Mein bhi tou dekhoon shaan ali ke nishaan ki


Abbas muskura ke pukarey ka aao aao


Ammu nisaar pyaas se kya haal hai batao


Boli lipat ke wo ke meri mashq lete jaao

Ab tou alam mila tumhein pani mujhe pilaao


Tohfa na koi deejiye na in’aam deejiye

Qurbaan jaaon pani ka ek jaam deejiye


Nagaah badhey alam liye Abbas e ba wafa

Daude sab ahle bait khule sar barehna pa


Hazrat ne haath utha ke ye ek eik se kaha

Lo Alwida ay haram e paak e Mustafa


Subhe shab e firaaq hai pyaaron ko dekh lo

Sab mil ki doobte huwe taaron ko dekh lo


Shay ke qadam pe Zainab e zaar o hazeen giri

Bano pachaad kha ke pisar ke kareen giri


Kulsoom thar thara ke baruhe zameen giri

Baqir kahin gira tou Sakina kaheen giri


Ujda chaman har ek gul taza nikal gaya

Nikla alam ke ghar se janaza nikal gaya


Nagaah udhar se teer chale janibe Imaam

Ghoda bada ke aap ne hujjat bhi ki tamaam


Nikle idhar se shay ke rafiqaan e tashnakaam

Be sar huwe paroon mein saraan e sipaah e shaam


Bala kabhi thi taegh kabhi zer e tang thi

Ek ek ki jang maalik e ashtar ki jang thi


Allah re Ali ke nawasoon ki kaarzaar

Dono ke nichey thay ke chalti thi zulfiqaar


Shana kata kisi ne jo roka sipar pe waar

Ginti thi zakhmiyoon ki na kishtoon ka tha shumaar


Utney sawaar qatl kiye thodi daer mein

Dono ke ghodey chup gaye laasho ke dhaer mein


Kis husn se Hasan ka jawane haseen lada

Ghir ghir ke surate asad e khushmgeen lada


Do din ki bhook pyaas mein wo mahjabeen lada

Sahra ulat ke yoon koi dulha nahi lada


Hamle dikha diye asad e kirdgaar ke

Maqtal mein sooye arzak e shaami ko maar ke


Chamki jo taegh Hazrate Abbas e arsh jaah

Roohul ameen pukarey ke Allah ki panaah


Dhaloon mein chup gaya pisar e saad ru siyaah

Kushtoon se band ho gayi aman o amaan ki raah


Jhapta jo sher shoakh mein darya ki saer ke

Le li tarayi taeghon ki moujoon ko phaer ke


Be sar huwe muwakkil e sar chashma e furaat

Hal chal mein misl e mouj safoon ko na tha sabaat


Darya mein girke fout huwe kitne bad sifaat

Goya habaab hogaye thay nuqta e hayaat


Abbas bhar ke mashk ko yoon tashnalab laday

Jis tarah naharwaan mein ameer e arab laday


Aafat thi harb o zarb e Ali Akbar e diler

Ghusse mein jhapte ser pe jaise garsina sher


Sab sar buland past zabardast sab thay zer

Jangal mein chaar simpt huwe zakhmiyoon ke dher


Siraan ke utre tan se jo thay rann chadhey huwe

Abbas se bhi jang mein kuch thay badhey huwe


Talwaarein barsi subh se nusfun nihaar tak

Hilti rahi zameen laraztey rahey falak


Kaampa kiye paroon ko simte huwe malak

Na’rey na phir wo thay na wo taeghon ki thi chamak


Dhaalon ka daur barchiyoon ka auj ho gaya

Hangaam e zuhr khatema e fauj ho gaya


Lashe sabho ke sibte Nabi khud uthake laye

Qatil kisi shaheed ka sar kaatne na paye


Dushman ko bhi na dost ki furqat khuda dikhaye

Farmatey thay bichad gaye sab hum se hai haye


Itney pahaad gir padey jis par wo kham na ho

Gar sou baras jiyoon tou ye majma baham na ho


Kham hogaye ye daagh uthake imame deen

Jhuk kar bana hilaal e Nabi ka mahe jabeen


Yoon dard mein tadap ke kiya nalaye hazeen

Hilne lage pahaad larazne lagi zameen


Aayi jigar ko taab na is waaredaat ki

Khushki mein lagi doobne kashti hayaat ki


Jab saff kashi ki dhoom huwi qatl gaah mein

Tasweer e marg phir gayi sab ki nigaah mein


Doobe rafiq e yusuf e deen haq ki chaah mein

Daftar khula ajal ka Hussaini sipaah mein


Jaanbaaziyaan dikhake jari naam kar gaye

Khaake shifa pa noor ke daane bikhar gaye


Jis waqt aamad aamade saif e Khuda huwi

Hal chal padi har ek ke dar pe qaza huwi


Nabood zindagi huwi hasti fana huwi

Himmat dilon ke jism se quwwat juda huwi


Labrez hokey umr ke saaghar chhalak gaye

Kaampi zameen pahaad jagah se sarak gaye


Maidaan mein jab riyaaze Hussaini khizaan huwa

Dunya se kaarwaan shahe deen ka rawaan huwa


Darya e khoon mein gharq har ek naujawaan huwa

Hamshakle Mustafa bhi shaheedey sinaan huwa


Rotey thay shaah lasho mein tanha khade huwe

Thay khaak par kaleje ke tukde padey huwe


Garmi ka roz jang ki kyon kar karoon bayaan

Darr hai ke misl e shama na jalne lage zabaan


Wo loo ke al hazar wo hararath ke al amaan

Rann ki zameen tou surkh thi aur zard aasmaan


Aab e khunukh ko khalq tarasti thi khaak par

Goya hawa se aag barasti thi khaak par


Wo loo wo aaftaab ki hiddat wo taab o tab

Kala tha rang dhoop se din ka misaal e shab


Khud nahr e alqama ke bhi sukhey huwe thay lab

Khaime jo thay hibaabon ke tap te thay sab ke sab


Udhti thi khaak khushk tha chashma hayaat ka

Khoula huwa tha dhoop se pani furaat ka